zist kya hai himaqaton ke siwa chand zalim sadaqaton ke siwa hum ne danishwaron se kya sikha uljhi uljhi ibaraton ke siwa fan ko wirse mein kya diya hum ne khubsurat alamaton ke siwa hum ne is zindagi se kya paya chand zehni rafaqaton ke siwa in badi taqaton ke pas hai kya chhoti chhoti raqabaton ke siwa aastinon mein doston ki hai kya pas-e-parda adawaton ke siwa kya hai tahzib-e-maghribi ka nishan unchi unchi imaraton ke siwa ye siyasat ki garmi-e-raftar kya hai mohmal bujhaaraton ke siwa kya liya hum ne apne mazi se nim-murda riwayaton ke siwa apni manzil nahin koi shayad jaan lewa masafaton ke siwa apna sarmaya-e-hayat hai kya rang-dar-rang saaton ke siwa