aah sharminda-e-asar na hui koi tadbir kargar na hui multafit aap ki nazar na hui shakh-e-ummid barwar na hui hum ne din jis jagah guzar diya raat apni wahan basar na hui aib auron ke dhundte hain hum apne afaal par nazar na hui qissa-e-gham agar na tha kotah zindagani bhi mukhtasar na hui rah gai dil mein dagh-e-dil ban kar wo tamanna jo barwar na hui dad do mere zabt-e-gham ki mujhe dil bhi roya to chashm tar na hui mere takhil ki bulandi bhi kabhi mohtaj-e-baal-o-par na hui khubiyan dekhiye muqaddar ki ho gai sham to sahar na hui un se milne ki aarzu puri baat mumkin sahi magar na hui dil pe guzre wo hadse 'shankar' ek ghadi chain se basar na hui