jidhar wo hain udhar hum bhi agar jaen to kya hoga irade hashr mein ye kaam kar jaen to kya hoga kisi ne aaj tak us ka pata paya jo hum pate makan-o-la-makan se bhi guzar jaen to kya hoga ye kaliyon ka tabassum aur ye phulon ki ranai bahaaron mein agar wo bhi sanwar jaen to kya hoga yaqin wade ka un ke khud-farebi hi sahi lekin ye do din bhi umidon mein guzar jaen to kya hoga ghanimat hai wo subh-e-hashr se pahle chale aae shab-e-akhir bhi nale be-asar jaen to kya hoga jidhar shaikh-o-barahman phir rahe the dhundte 'rizwi' usi jaanib tere shorida-sar jaen to kya hoga