aah ye daur ki jis mein lab-o-rukhsar bike dast-e-fitrat ke banae hue shahkar bike dil ke jazbaat bike zehn ke afkar bike sach to ye hai ki har ek ahd mein fankar bike asr-e-hazir mein koi chiz bhi anmol nahin ishq ki aan bike husn ka pindar bike ek dahakti hui dozakh ko bujhane ke liye kitne hi phul se paikar sar-e-bazar bike nafs ki dewi ka pur-kaif ishaara pa kar sahib-e-hosh bike sahab-e-kirdar bike khud-gharaz chand nigahbanon ke hathon aksar phul to phul hain gulzar ke gulzar bike bazm-e-saqi bhi wo bazar-e-tarab hai 'wahid' ek saghar pe jahan fitrat-e-khuddar bike