fareb-e-rah-e-mohabbat ka aasra bhi nahin main ja raha hun magar koi rasta bhi nahin har ek kahta hai rah-e-wafa hai na-hamwar magar khulus se ek aadmi chala bhi nahin kisi ke ek ishaare pe do-jahan raqsan mere liye meri zanjir ki sada bhi nahin ajib turfagi-e-shauq hai ki su-e-adam gai hai khalq magar koi naqsh-e-pa bhi nahin ye thik hai ki wafa se nahin lagaw use magar sitam to yahi hai ki bewafa bhi nahin koi maqam ho ek aasra to hota hai wo yun badal gae jaise mera khuda bhi nahin