aaj phir sar-e-maqtal de ke khud lahu hum ne tegh-e-dast-e-qatil ki rakh li aabru hum ne jaan-e-ghuncha-o-lala ruh-e-rang-o-bu hum ne aap ko banaya hai kitna khub-ru hum ne jab bhi lutf-e-saqi mein farq aate dekha hai badh ke tod dale hain saghar-o-subu hum ne barha zabanon par lag gai hai pabandi barha nigahon se ki hai guftugu hum ne rah-e-shauq mein aksar wo bhi waqt aaya hai jab kiya hai hathon se khun-e-arzu hum ne shahr ho bayaban ho dar ho ki zindan ho naghme zindagi hi ke gae chaar-su hum ne