aah ye hijr ke lamhat tumhein kya malum shoala-zan hain mere jazbaat tumhein kya malum tum ne sahil se hi dekhe hain safine sab ke dubne walon ke haalat tumhein kya malum tum to waqif hi nahin zahr ki lazzat se abhi kaise katti hai meri raat tumhein kya malum mujh se waqif ho bas itna ki main hans deta hun dil ki barbaadi ke haalat tumhein kya malum un ko begana tasawwur na karo ai 'anjum' nichi nazron ki karamat tumhein kya malum