waraftagi mein apna nishan bhi nahin utha yun rakh hum hue ki dhuan bhi nahin utha ghaarat-garon ne shahr hi taraj kar diye hum se shikast-e-dil ka guman bhi nahin utha ai subh-e-nau fuzul raha tera intizar tujh se to khuftagi ka nishan bhi nahin utha barbaad yun hue ki udi tak na rakh bhi yun bujh gaya diya ki dhuan bhi nahin utha