aahon ke basere hain armanon ki basti hai

aahon ke basere hain armanon ki basti hai
kahte hain jise hasti adh-suljhi paheli hai

nawak teri baaton ke kuchh aise lage dil par
ab sans bhi leta hun to ruh nikalti hai

aflak pe hota hai kis baat ka hangama
baadal jo garajta hai bijli jo tadapti hai

tapkan ko wahi samjhe zakhmon se jo khela ho
kya jaane musibat tu jo mujh pe guzarti hai

ek jism tha jo mera wo khak hua kab ka
ek ruh bachi thi jo ab wo bhi pighalti hai

gardish mein har ek shai hai kya dhundh rahe hain sab
kyon waqt phisalta hai kyon umr sarakti hai

kafir ke liye jaise duniya hi mein jannat ho
momin ke liye duniya ek kanton ki basti hai

insan ko lubhati hai duniya ki hai rangini
bahar se chamakti hai andar se jhulasti hai

jab waqt bigadta hai insan ka duniya mein
duniya bhi nazar apni ek pal mein badalti hai

hai kis ki hararat se tapti hain meri sansen
sine mein mere jaise ek aag sulagti hai

aflak ugalta hai ruhon ke samundar ko
'tauqir' zamin sab ke jismon ko nigalti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close