lahu mein gharq adhuri kahaniyan niklin dahan se tuti hui surkh chudiyan niklin main jis zamin pe sadiyon phira kiya tanha usi zamin se kitni hi bastiyan niklin jahan muhaal tha pani ka ek qatra bhi wahan se tuti hui chand kashtiyan niklin masal diya tha sar-e-sham ek jugnun ko tamam raat khayalon se bijliyan niklin chura liya tha haweli ka ek chhupa manzar usi gunah par aankhon se putliyan niklen wo ek charagh jala aur wo raushni phaili wo rahzani ke irade se aandhiyan niklin wo bach sakin na kabhi bul-hawas parindon se hisar-e-ab se bahar jo machhliyan niklin khuda ka shukr ki is ahd-be-libasi mein ye kam nahin ki darakhton mein patiyan niklin yahi hai qasr-e-mohabbat ki dastan 'kazim' giri fasil to insan ki haddiyan niklin