dam-e-ulfat mein phansa dil hae dil afsos dil ab na howega riha dil hae dil afsos dil wo use kya kya kahe aur ye sarakta hi nahin ho gaya yun be-haya dil hae dil afsos dil milte hi zalim ne mujh ko chhod kar yun yak-ba-yak ho gaya mujh se juda dil hae dil afsos dil aah-o-nale ki sada bhi ab to aane se rahi mar gaya shayad mera dil hae dil afsos dil kis tarah us se banegi hai bahut wo bewafa aur mera hai ba-wafa dil hae dil afsos dil main ne kitna dil ko samjhaya ki ab bhi ishq se baz aa dil baz aa dil hae dil afsos dil so na mana dil ne aur saude mein aakhir ishq ke yun diwana ho gaya dil hae dil afsos dil chhod kar mere tain aur pas zalim ke rahe aur sahe jaur-o-jafa dil hae dil afsos dil phir to 'asif' ghair se kis baat ki kije ummid jab ki apna de dagha dil hae dil afsos dil