aai bahaar daur ho saqi sharab ka dariya baha de bazm mein ashk-e-kabab ka is aaftab-e-rukh pe nazar apni padte hi shabnam ki tarah ud gaya parda hijab ka kis bewafa pe marta hai kya kijiye use ghar aur ho kahin dil-e-khana-kharab ka karne to do sawal karen hain to kya aashiq hun main bhi ek but-e-khana-kharab ka har-dam wo mujh ko dekh ke abru chadhate hain pyasa hai khanjar un ka mere khun-e-nab ka qadmon ko chumta ai sanam aate-jate main kyun sang mein bana nahin teri janab ka sadme firaq-e-yar ke kya kam hain ai 'nasim' mahshar mein mujh ko khauf nahin kuchh hisab ka