dil ki lagi se iksir hona ek hath chandi ek hath sona lutf to jab hai wo khud nawaze kaha bahti ganga mein hath dhona phir be-rukhi hai aur aarzi hai kufr sarasar mayus hona baithna uthna nazm-o-adab se ain ibaadat hai un ka hona ishq ka maslak saf-dili hai rasm-e-numaish daman ko dhona anjuman-araiyon ke liye ab farz nahin hai un ka bhi hona 'mani' ko baiat hai ek sanam se kajlai aankhen rang salona