jab tere khwab se bedar hua karte the hum kisi ranj se do-chaar hua karte the aaine chashm-e-tahayyur se hamein dekhte the hum ki jab tere giraftar hua karte the aaj malum hua teri zarurat hi na thi hum yunhi tere talabgar hua karte the ab to hum roz unhen panw tale raundte hain ye hi raste the jo dushwar hua karte the daulat-e-ishq se hum kaam chalate the miyan bas yahi dirham-o-dinar hua karte the barha yun bhi hua dube hue khwab mere us ki aankhon se numudar hua karte the aap hi aap kahani se nikalte jate jo mere jaise adakar hua karte the lo ki hum bojh uthate hain zamin se apna hum kabhi is pe bahut bar hua karte the aaj jo log kharidar hain tere 'azhar' kal yahi mere kharidar hua karte the