aai khizan to baad-e-saba khinch li gai jaise gulon ke lab se dua khinch li gai kala naqab adl ki aankhon pe bandh kar us ke badan pe jo thi qaba khinch li gai lagne laga hai mil ke yun ahl-e-watan se ab jaise har ek dil se wafa khinch li gai ghaarat-gari ke baad tamashe ke waste baqi thi jin saron pe rida khinch li gai tum ne zaban ko izn-e-takallum nahin diya us ne jo tum ko di thi sada khinch li gai hum ko na zindagi pe na qudrat qaza pe hai hum se hamari ye bhi raza khinch li gai ehsas us ke chhod ke jaane pe yun hua sawan se jaise kali ghata khinch li gai pahle hazar gham hue nazil hamin pe phir thi sab ghamon ki jo bhi dawa khinch li gai wo hath kya uthe meri pursish mein dosto sar se mere har ek bala khinch li gai mehnat-kashon ne khub munawwar kiye mahal mehnat-kashon se un ki ziya khinch li gai khud ko bhi dekhta hun main hairat se aaj-kal milne ki meri mujh se ada khinch li gai