aaj tak jo na mere ashk-e-rawan tak pahunche ghair mumkin hai ki wo dard-e-nihan tak pahunche hae talib jo hue kakul-e-khamdar ke hum dekhiye aap hi khud apne ziyan tak pahunche yaad karne pe tujhe aise bhi aate hain khayal aaj tak jo na kabhi mere guman tak pahunche kash aisi ho ata quwwat-e-guftar mujhe main yahan sochun meri baat wahan tak pahunche ku-e-jaanan ke liye hi nahin makhsus rakha mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche khub deta hai mujhe lutf-e-safar aap ka wo barha phone pe kahna ki kahan tak pahunche rah bhatki hai masarrat mere kuche se magar ranj duniya ke sabhi mere makan tak pahunche der se hi sahi par dekh mere naqsh-e-qadam dasht mein qais ke har ek nishan tak pahunche shaeri ka to mujhe shauq nahin tha 'afzal' un ki nazron se gire hain to yahan tak pahunche