ye zamin kyon mujhe bhai mujhe malum nahin kyon ghazal aur banai mujhe malum nahin khud-bakhud rah liye jati hai us ki jaanib ab kahan tak hai rasai mujhe malum nahin be-khayali mein kisi sanp ki gardan pakdi ya kisi ki hai kalai mujhe malum nahin be-khudi puchh rahi hai ki hai kis ka ye sher sher deta hai duhai mujhe malum nahin sard mausam mujhe kuchh aur bhi dahkata hai tapna aag parai mujhe malum nahin sim-o-zar kham liye hun main zamin ki surat kaise hoti hai safai mujhe malum nahin main ne khud apne khayalon mein gadha us ka jamal ya khuda ki hai khudai mujhe malum nahin akhz karta hun main khud apni jadon se pani dusri koi sinchai mujhe malum nahin gardish-e-charkh mein pasti-o-bulandi kaisi farq-e-shahi-o-gadai mujhe malum nahin ishq mein kudo agar shauq hai marne ka bahut is se gahri koi khai mujhe malum nahin