aai sahar qarib to main ne padhi ghazal jaane lage sitaron ke bajte hue kanwal be-tab hai junun ki ghazal-khwaniyan karun khamosh hai khirad ki nahin baat ka mahal kaise diye jalae gham-e-rozgar ne kuchh aur jagmagae gham-e-yar ke mahal ab tark-e-dosti hi taqaza hai waqt ka ai yar-e-chaara-saz meri aag mein na jal ai iltifat-e-yar mujhe sochne to de marne ka hai maqam ya jine ka hai mahal hum rind khak-o-khun mein ate hath bhi kate nikle na ai bahaar tere gesuon ke bal rahon mein ju-e-khun hai rawan misl mauj hai saqi yaqin na ho to zara mere sath chal kuchh bijliyon ka shor hai kuchh aandhiyon ka zor dil hai maqam par to zara baam par nikal farman-e-shahryar ki parwa nahin mujhe iman-e-ashiqan ho to 'abid' padhe ghazal