imkan ki hadon se nikal kar bhi dekh lo main kar raha hun apni faza ke umas se jang main hun ana ke koh-e-falak-bos ka raqib mujh ko rawa nahin hai kisi khar-o-khas se jang har ek pankhudi se ghiza chus li gai phulon ki der tak rahi jari magas se jang jab bhi karoge haq ko mitane ki justuju minaron masjidon ki rahegi kalas se jang is na-tawani-e-shab-e-gham mein bhi ai 'wali' karta raha hun roz main do-chaar das se jang