har mulaqat mein lagte hain wo begane se faeda kya hai bhala aison ke yarane se kuchh jo samjha to mujhe sab ne hi aashiq samjha baat ye khub nikali mere afsane se zindagi apni nazar aane lagi sirf sarab kabhi guzre jo dil-e-zar ke virane se ek pal bhi na thahar paoge ai sang-zano koi patthar kabhi laut aaya jo diwane se tum ko marna hai to marna mere gul hone par shama kahti rahi shab-bhar yahi parwane se phir na dekha tujhe ai 'josh' sukun se baitha jab se uttha hai tu is shokh ke kashane se