aaina dekh ke kahta hai ye dilbar mera mah-e-kanan bhi nahin husn mein ham-sar mera dil-e-qatil se pas-e-qatl bhi nikla na bukhar lasha tashhir kiya kar ke juda sar mera yar phir jata hai aa kar mere darwaze se mujh se bargashta hai kis darja muqaddar mera rah-e-gum-karda wo khud phirta hai ek muddat se ku-e-ulfat mein khizar khak ho rahbar mera nahin malum ki qasid pe mere kya guzri aaj qabu mein nahin hai dil-e-muztar mera mai-kade par mera qabza ho main wo mai-kash hun shisha mera hai subu mera hai saghar mera kyon laga rahne diya ai mere qatil tasma ek hi war mein karna tha juda sar mera aaiye aaiye dikhlaiye surat apni dam shab-e-hijr mein aaya hai labon par mera qatl hote hue ji bhar ke unhen dekh liya hausla aaj to nikla tah-e-khanjar mera ai 'wafa' thi jo tamanna mujhe pa-bosi ki pa-e-qatil pe gira ho ke juda sar mera