dard ka mere mudawa wo karen ya na karen main hun mashkur dam-e-naza jo parda na karen mai se labrez inayat jo wo paimana karen waiza nosh use rind karen ya na karen ishq-e-sadiq jo zara apna asar dikhla de be-hijab aaen nazar wo kabhi parda na karen fasl-e-gul aae bhi sayyaad agar gulshan mein hum wo bulbul hain rihai ki tamanna na karen tere kuche mein jo mil jae jagah marqad ki bagh-e-firdaus ki ushshaq tamanna na karen jalwa-gar dil mein hai tu jin ke kisi surat wo rukh haram ka na karen azm-e-kalisa na karen tere kuche mein mayassar hai jinhen roz tawaf kabe ki samt wo bhule se bhi sajda na karen us ka didar kisi tarah nahin mumkin hai shakl-e-aina jo hum dil ko musaffa na karen yar baalin pe hai thahren malak-ul-maut zara ruh ke qabz ka kuchh der irada na karen dam ka mehman hun dam lab pe hai ai jaan-e-jahan aap ghar jaane ka is waqt irada na karen marte dam nam tera munh se nikal jae agar phir nakirain lahad mein koi jhagda na karen dair-o-kaba to haqiqat mein hain us ke ghar mein bahami gabr-o-musalman koi jhagda na karen