jab main uske ghar ko jaya karta tha

jab main us ke ghar ko jaya karta tha
darwaza khud hi khul jaya karta tha

wo us ka kirdar nibhaya karti thi
main apna kirdar nibhaya karta tha

wo chulhe mein roti seka karti thi
main jangal se lakdi laya karta tha

khul jate the patjhad ke mausam mein bhi
main pedon ko sher sunaya karta tha

jab jab main roya karta tha sahil par
dariya mujh ko dekh ke roya karta tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close