aaina dekhna angusht ba-dandan rahna us ne to hum ko bhi sikhla diya hairan rahna dagmaga jaen qadam rah-e-talab mein kis waqt tu mere sath mere shauq gurezan rahna dil-e-nazuk ko lagana tha thikane ya-rab is ke bas ka nahin nazdik-e-rag-e-jaan rahna jo hua tur pe is mein nahin hairat koi ibn-e-adam ki to taqdir hai hairan rahna tere mear pe ai zindagi rahna hai kathin sikh le tu hi meri shan ke shayan rahna main to kar guzrunga jo dil mein mere aaegi mujh ko manzur nahin apna nigahban rahna us ki nazron mein kahin ye bhi ibaadat hi na ho umr bhar khud se mera dast-o-gareban rahna daur-e-hazir ki badalti hui in qadron mein kitna dushwar hai insan ka insan rahna