bade khulus se shaistagi se milta hai mera harif bhi mujh ko khushi se milta hai mujhe wo in dinon zinda-dili se milta hai khushi yahi hai ki ab wo khushi se milta hai sukun dil ko to ab dard hi se milta hai ye lutf wo hai jo ham-saegi se milta hai na jaane in dinon kyon shaikh mai-gusaron se bade niyaz badi aajizi se milta hai hai kar-e-nek har ek haal mein jiye jaana mujhe ye hausla meri khudi se milta hai khala-naward hue to pata chala hum ko yaqin ka rishta kahin bebasi se milta hai nahin hai koi bhi shai paedar duniya mein wo ek dars jo hum ko khushi se milta hai hamesha mujh se ye kahte hain shaikh mai pi kar mera mizaj faqat aap hi se milta hai zara bhi farq nahin hai mizaj-e-'rahat' mein wo aaj-kal bhi usi sadgi se milta hai