muhit-e-husn jo ab dam-ba-dam chadhaw pe hai chala hai ghar se akadta bade hi taw pe hai mujhe bata de tu rahta hai kaun se ghar mein ki jis ke kothe se kotha tera lagaw pe hai utha ke aankh kise dekhne ki tab hai aah nashist-e-yar agarche bade dikhaw pe hai hum us ki bazm ki hasrat mein hath malte hain ye jun jun sunte hain majlis bade jamaw pe hai na puchho bahr-e-mohabbat mein kuchh hamara haal jo kuchh hai aafat-e-dariya so apni naw pe hai 'ghazanfar' us se tu kar lijo arz-e-haal apna abhi na bol ki ghusse mein hai wo taw pe hai