aaina-e-hayat hai yaksar lahu lahu lamhon ke hath mein bhi hai patthar lahu lahu sanson ke aasman ka hai manzar lahu lahu jaise ho kaenat ka daftar lahu lahu aati nahin hai ab koi naqus ki sada ehsas-e-be-nawa ka hai mandar lahu lahu hum shahr-e-dushmanan se nikal aae hain ba-khair tha doston ke shahr ka manzar lahu lahu aate hi apne hosh mein dekha hai ja-ba-ja apne tasawwuraat ka paikar lahu lahu jab fan ke regzar mein chalne lagi thi lu tha fikr ka amiq samundar lahu lahu khwahish ki bastiyon mein ye manzar bhi khub hai viran rahguzar hai to ghar ghar lahu lahu