ahl-e-hunar se nata-e-ikhlas jod ke dekhe hain khel main ne bahut tod-phod ke sabit qadam agarche har ek imtihan mein tha gham ne mere wajud ko rakkha jhinjhod ke shayad ki mil hi jae tumhein amn ka suragh jata hun apni fikr ki parchhain chhod ke nikle the chand bund lahu aur kuchh nahin dekha tha main ne waqt ka daman nichod ke azm-o-amal ki rah pe nikla nahin koi rasm-e-kuhan ki aahani diwar tod ke dekha tha 'jami' sab ke saron par jafa ka taj rishton ki dor yaron ki basti se jod ke