aaina-e-hayat pe chhaya ghubar hai jis ki taraf uthaen nazar dil-figar hai taswir teri ahd-e-hasin ka hai ek naqsh jo mere shahr-e-dil mein teri yaadgar hai teri sharab-pash-nigahon ke faiz se ab be-piye hi mujh ko surur-o-khumar hai khushbu tumhaari dhundhti phirti rahi hamein pahunchi wahin jahan pe hamara mazar hai chaho jo tum na mujh se khafa ho kabhi bahaar duniya-e-rang-o-bu pe tumhein ikhtiyar hai aa jao tum bahaar ki takmil ke liye mausam hai dil-fareb faza sazgar hai 'sartaj' qasr-e-zist imarat ajib hai ne gosha-e-panah na rah-e-farar hai