nam is allah ke bande ka bhi ruswai mein hai jo samundar ki tarah se apni gahrai mein hai shakh se patta bhi udta hai parinde ki tarah zindagi ki koi chingari tamannai mein hai dhup ka dariya umad aata hai jab chadhta hai din koi aisi lahr kya us ki bhi angdai mein hai jab hawaon mein adega sab pata lag jaega jhil nile aasman ki kitni gahrai mein hai chhod jati hai hawa bhi naqsh apne khak par sochta hun tu kahan par jalwa-arai mein hai dub jate hain manazir dubte suraj ke sath sach kaha karta tha wo bhai ki jaan bhai mein hai lahlahati khak ko dekha to kya dekha miyan us ko dekha chahiye jo us ki ranai mein hai koi darwaze ki dastak kan mein padti nahin but bana baitha hun ghar mein dhyan shahnai mein hai ghere rahta hai mujhe logon ki aawazon ka shor wo akela dekh kar kahte hain tanhai mein hai udte tayyare ki khidki se zara sa jhank le itne hangamon-bhari duniya bhi tanhai mein hai hum kisi shishe ko apne munh se patthar kyun kahen jis ka jo kirdar hai wo us ki goyai mein hai dosto kya puchhte ho haal is ke ganw ka aaina lipta hua talab ki kai mein hai uth rahi thin dur tak pani ki diwaren 'khalil' hum ye samjhe naqs koi apni binai mein hai