aaina-e-jahan ka chehra nazar hai har aks kah raha hai ki har phul khar hai kab kis ke ikhtiyar mein aa jaun kya pata har sans mere hone ki mujh par udhaar hai gul ko charagh jaan ke tili dikhai thi shoalon ka raqs ab meri aankhon pe bar hai jaane hai kis azab se guzri ye zindagi bikhri hui hai zulf gareban tar hai ek rahwar-e-ishq ke jaane pe aankh mein ab gard baithti nahin har dam ghubar hai parbat ki rakh surma samajhti rahi 'dua' palkon pe ab jama hua gard-o-ghubar hai