aaina-e-khayal tha aks-pazir raaz ka tur shahid ho gaya jalwa-e-dil-nawaz ka paya bahut kiya buland us ne harim-e-naz ka ta na pahunch sake ghubar-e-rah-guzar-e-niyaz ka khastagi-e-kalim ne nukta ajab samjha diya warna harif mein bhi tha is mizha-e-daraaz ka dair mila tha rah mein kabe ko hum nikal gae jazba-e-shauq mein dimagh kis ko ho imtiyaz ka bandagi aur sahabi asl mein donon ek hain jis ka ghulam ayaz hai wo hai ghulam ayaz ka go tahi-nasib ne dur rakha to kya hua banda-e-khana-zad hun us ke qad-e-daraaz ka shauq tera hai maujzan zauq tera bahana-ju khol na den bharam kahin parad gyan raaz ka masti-e-be-khudi se yan aankh khuli na hashr tak yani yahi jawab tha nargis-e-nim-baz ka aah-o-fughan ke sath sath chha gai ek be-khudi qat-e-zaban zarur tha sham-e-zaban-daraaz ka khak mein mil gae wale aankh uthi na sharm se hum se hua na haq ada us ki nigah-e-naz ka mutrib-e-khuld kya sunae wahshat-e-khasta kya sune mo'taqid-e-qadim hai zamzama hijaz ka