aaina ho ke aaina na hua us ka wada kabhi wafa na hua ek sitam bhi karam-numa na hua zakhm kha kar bhi kuchh bhala na hua us ko apna banana chaha tha hum se izhaar-e-muddaa na hua baat karte to baat ban jati baat karne ka hausla na hua us ne zulfon se dhak liya chehra chand se koi rabta na hua har nazar mein hai wasl ki chahat ishq mein koi parsa na hua tute rishton ko jodte kaise jab kabhi us se samna na hua baat hum khud-kushi ki kyon karte haq bhi jine ka jab ada na hua hum ko tanhaiyon ke mabad mein kuchh bhi kahne ka hausla na hua lakh dawe kiye khudai ke ek firaun bhi khuda na hua dil to mansub tha usi se 'suhaib' umr bhar jis se rabta na hua