gulsitan-dar-gulsitan ab baghban koi nahin phul sab tanha khade hain titliyan koi nahin dhup achchhi lag rahi hai aaj kitne din ke baad baadalon ka dur tak nam-o-nishan koi nahin khushk lakdi ki tarah se jal gae sare makan ye ajab ki sari basti mein dhuan koi nahin nam kya dega koi in be-sabab haalat ko mehrban sare hain lekin mehrban koi nahin apne ghar se dur rah kar har qadam hai imtihan kaun kahta hai yahan par imtihan koi nahin us ne apne shauq se dast-e-dua katwa diye us ke chehre par likhi ab dastan koi nahin raat ki jhilon mein utregi kahan se chandni hum siyah-bakhton ko bhi aisa guman koi nahin kya khabar kya ho gaya hai is muammar shakhs ko din dhale jangal se chunta lakdiyan koi nahin ek ajab sa hadsa dekha hai 'safdar' shahr mein khushk hain sab aashiyan aur bijliyan koi nahin