dekh teri sohbaton ka kya asar aaya hai aaj ek aawara parinda phir se ghar aaya hai aaj teri furqat mein bhi qurbat is tarah mahsus ki chand mein chehra tera mujh ko nazar aaya hai aaj zindagi mein khoe dekhe sab yaqin jata raha tu mila to phir yaqin ek laut kar aaya hai aaj aa ke tum ne sach ye hai qismat meri di hai sanwar ya taras malik ko mujh par is qadar aaya hai aaj teri baaton mein yaqin mein aisi sachchai mili dil mein jine ka irada phir ubhar aaya hai aaj log kahte hain meri aankhon mein hai ab raushni aks tera hi unhen be-shak nazar aaya hai aaj di muafi ja tujhe tu bhi karega yaad kya le ke tera khat wo qasid qabr par aaya hai aaj ishq bhi is ko na samjhun tu bata tu kis liye dil mein hasil ke khuda ban kar utar aaya hai aaj