aaina jism se hai mulaqat ke liye betab si hai ruh teri zat ke liye milna tha rab se kar ke badan ko misal-e-khak is ko sanware jate the kis baat ke liye pursan-e-haal hashr mein koi nahin hai aaj bechain sab hain teri inayat ke liye gar kuchh nahin to ashk-e-nadamat hi hote sath nazrana kuchh to hota teri zat ke liye 'nilam' amal ke jalte charaghon ko rakhna sath kuchh raushni to chahiye is raat ke liye