sham tak band rahta hai kamra mera aur kamre mein tanha khilauna mera din ko ujli rida odh leta hun main dekhna raat ko phir tamasha mera sach kaha tha sabhi mujh se naraaz hain ab kisi se nahin rishta-nata mera apne sheron pe mujh ko bada fakhr hai jaane kya gul khilaega charcha mera do baras ka hun tifl-e-kitabi 'ghani' ho gaya kitna bhaari hai basta mera