aaina khud-numai un ko sikha raha hai kya qahr kar raha hai kya zulm dha raha hai aansu baha raha hai wo soz-e-dil pe mere khud hi laga ke zalim khud hi bujha raha hai un ko to hum ne chaha wo yun sata rahe hain ai charkh-e-kina-parwar to kyun sata raha hai aazurda ghair se hain leta hun main balaen ruthe hain wo kisi se koi mana raha hai kuche mein un buton ne rahne diya na shayad sunte hain ab 'rasa' bhi kabe ko ja raha hai