mazi ke jab zakhm ubharne lagte hain aankhon se jazbaat bikharne lagte hain zehn-o-dil mein us ki yaaden aate hi lafz shararat khud hi karne lagte hain kar ke yaad tere mathe ka bosa hum ungli ab honthon pe dharne lagte hain teri main taswir kabhi jo dekhun to mere din aur raat thaharne lagte hain bin tere sanson ki haalat mat puchho ghut ghut kar rozana marne lagte hain hum par andhere kuchh hawi hain aise to hum khud ke sae se darne lagte hain 'mit' kahani ulfat ki jab padhta hun aankhon se kirdar guzarne lagte hain