hawas ki duniya mein rahne walon ko main mohabbat sikha raha hun jahan pe daman bichhe hue hain wahan par aankhen bichha raha hun surud-e-gham par bhi zindagi mein tarab ke dhaare baha raha hun main un ke saz-e-jafa par apni wafa ke naghme suna raha hun ilahi duniya mein aur kuchh din abhi qayamat na aane pae tere banae hue bashar ko abhi main insan bana raha hun adam ke tarik raste mein koi musafir na rah bhule main sham-e-hasti bujha kar apni charagh-e-turbat jala raha hun main apni tarz-e-junun ke sadqe mera junun bhi ajab junun hai kisi ka daman pakad raha hun kisi se daman chhuda raha hun abhi to aaya hi tha wahan se kabhi na jaane ka ahd kar ke magar mohabbat zahe mohabbat abhi wahin se phir aa raha hun mili hai kanton ki mujh ko qismat magar hai phulon ki meri fitrat jahan hun pamal-e-gham hun lekin jahan bhi hun muskura raha hun chala hai shauq-e-sujud le kar ilahi ye kis ke dar ki jaanib abhi to pahla qadam utha hai abhi se main sar jhuka raha hun teri nazar kya main apne dil se bhi gir ke jata hun anjuman se jahan ki hoti hai khatm duri wahan se bhi dur ja raha hun ye kis ke kuche mein gamzan hun ye aastan kis ka samne hai main apne qadmon par aaj 'bismil' sar-e-do-alam jhuka raha hun