dard-e-dil aaj bhi hai josh-e-wafa aaj bhi hai zakhm khane ka mohabbat mein maza aaj bhi hai garmi-e-ishq nigahon mein nahin hai na sahi muskuraati hui aankhon mein haya aaj bhi hai husn paband-e-qafas ishq asir-e-alam zindagi jurm-e-mohabbat ki saza aaj bhi hai hasraten zist ka sarmaya bani jati hain sina-e-ishq pe wo mashq-e-jafa aaj bhi hai daman-e-sabr ke har tar se uthta hai dhuan aur har zakhm pe hangama utha aaj bhi hai apne aalam-o-masaib ka wahi darman hai dard ka had se guzarna hi dawa aaj bhi hai 'mir' o 'ghaalib' ke zamane se nae daur talak shaer-e-hind giraftar-e-bala aaj bhi hai