aaine kahte hain is khwab ko ruswa na karo aise khoe hue andaz se dekha na karo kaise aa jati hai konpal pe ye jadu ki lakir din guzar jate hain mahsus karo ya na karo kahin diwar-e-qayamat kabhi zanjir-e-azal kya karo ishq-e-ziyan-e-kesh mein aur kya na karo bhagte jao kisi samt kisi sae se tazkira ek hai afsana-dar-afsana karo phir koi taza gharaunda kisi virane mein ganw ko shahr karo shahr ko virana karo bazm-e-imkan hui do ghunt lahu aankhon mein hirs kahti hai ki kaunain ko paimana karo kyun na ho mujh se shikayat tumhin tum wo ho ki phir use jita bhi na chhodo jise diwana karo ek hi raat sahi phul to khulte hain 'khizan' maut mein kya hai ki jine ki tamanna na karo