milne ka imkan banae baithe ho kis ko dil aur jaan banae baithe ho barsin aakhir barish jaise kyon aankhen tum baadal mehman banae baithe ho dasht ki khak sameti main ne palkon se ghar apna dalan banae baithe ho kis ke aane ki ummid mein aakhir yun raste ko gul-dan banae baithe ho kaun kisi ki yaad bhulai jaane ko tum aangan shamshan banae baithe ho qasmen wade jhute jis ki khatir tum dil apna viran banae baithe ho tanha tanha rahte ho 'asim' 'tanha' ye kaisi pahchan banae baithe ho