dayar-e-sang mein rah kar bhi shishagar tha main zamana chikh raha tha ki be-khabar tha main lagi thi aankh to maryam ki god ka tha guman khuli jab aankh to dekha salib par tha main aman kise thi mere sae mein jo rukta koi khud apni aag mein jalta hua shajar tha main tamam umr na ladne ka gham raha mujh ko ajab mahaz pe haara hua zafar tha main hawa-e-waqt ne patthar bana diya warna lachakti shakh se tuta hua samar tha main tamam shahr mein jangal ki aag ho jaise hawa ke dosh pe udti hui khabar tha main