aalam ranj-o-alam hai khair ho ya khuda kaisa sitam hai khair ho ashk tere jhute hain lekin mujhe e'tibar-e-chashm-e-nam hai khair ho dekh kar tujh ko kaha mahtab ne kya ada kya pech-o-kham hai khair ho mil gaya mujh ko pata manzil ka par raste mein bait-us-sanam hai khair ho us ke honton ko chhua to yun laga chashni-e-zahr-e-gham hai khair ho main hun khasta-haal faisal kya karun mera dushman taza-dam hai khair ho