aaine mein dekh ke chehra be-shak main hairan hua dil ki duniya lut gaya hai jo dil ka mehman hua tu ne apna chain ganwaya meri nind uda di hai dil ke nazuk rishte mein to donon ka nuqsan hua tere sanson ki khushbu se mahak rahi hai tanhai tera ek tabassum mere jine ka saman hua kahan gae wo jin ke dam se kheton mein hariyali thi suni kyun ganw ki galiyan kyun aangan viran hua kitne fankaron ne ab tak jazbon ko alfaz diye apne gham ka sarmaya hi shair ki pahchan hua waise to aasan nahin tha khulna band kiwadon ka dakhil hona dil mein lekin dastak se aasan hua