hadse umr-bhar aazmate rahe chot kha kha ke hum muskuraate rahe yun guzarta raha zindagi ka safar bin tumhaare qadam dagmagate rahe aandhiyon se adawat rahi umr-bhar hum hawaon mein dipak jalate rahe hajj-o-tirath ko jaane se kya faeda gar buzurgon ka dil hum dukhate rahe bant degi siyasat hamein do taraf hum jo mandir aur masjid banate rahe 'dew' pine ka jis ko saliqa na tha mai-kade un ki qismat mein aate rahe