aarzu tum ho muddaa tum ho kya zaban se kahun ki kya tum ho kya zarurat hai aaine ki mujhe meri hasti ka aaina tum ho dil abhi tak nahin samajh paya ajnabi ho ki aashna tum ho sehn-e-gulshan mein ja ke raaz khula chehra-e-gul mein runuma tum ho chand taron shafaq mein phulon mein rang ho nur ho saba tum ho mujh ko tufan-e-gham ka khauf nahin meri kashti ke nakhuda tum ho tum se qaem hai zindagi 'naghmi' dil ki dhadkan ki har sada tum ho