ajib shakhs hai dharti pe aasman sa hai khuda maqam nahin phir bhi la-makan sa hai uge jo subh ka suraj to ek machine hai wo dhale jo sham to phir jism ki takan sa hai sukut-e-dasht-e-tamanna hai us ko ja-e-panah nawah-e-ariz-o-gesu mein be-nishan sa hai barahna rahta hai shamshir-e-be-aman ki tarah har ek shakhs yahan us se bad-guman sa hai utha na paega yak lamha-e-nashat wajud wo apni tegh-e-nafas se lahuluhan sa hai nigah-dar-e-falak ta-falak raha wo 'kamal' aur ab zamin pe tuti hui kaman sa hai