ek band ho gaya hai to kholenge bab aur ubhrenge apni raat se sau aaftab aur ruh-e-bashar ghulam hai koi bhi ho nizam ab bhi jahan ko chahiye kuchh inqalab aur jab bhi badhi hai tishnagi mulk-o-awam ki chhalki hai qasr-e-shah mein thodi sharab aur akhlaq ki naqab mein le kar wali ka dhong nochenge meri lash ko kitne uqab aur darne laga tu ek hi hamle mein waqt ke baqi hain teri zist mein kitne azab aur